Friday 24 January 2014

Tagged Under:

Teri Aradhana karun - Hindi Christian song lyrics

Share
Teri Aradhana karun

Teri aaradhana karun -2
 paap Kshama kar jeevan dede 
daya ki yachana karu
Teri aaradhana karun -2
 paap Kshama kar jeevan dede 
daya ki yachana karun
Teri aaradhana karun

Tu hi mahan , sarva shaktimaan
Tu hi hai meri jeevan ka sangeet
Tu hi mahan , sarva shaktimaan
Tu hi hai meri jeevan ka sangeet
 Hriday he taar Chede jhankar -2
Teri aaradhana hai madhur geet
 Jeevan se mere tu mahima paye
Ek hi kaamna karun
paap kshama kar jeevan de de 
daya ki yachana karu
Teri aaradhan karun

Shrishti ke har ek kan kan mein 
chaya hai teri hi mahima ka raaj
Shrishti ke har ek kan kan mein 
chaya hai teri hi mahima ka raaj
pakshi bhi karte hain teri prashansa -2
har pal sunate hain anand ka raag
meri bhi bhakti tujhe grahan ho
 hriday se prarthana karun
paap kshama kar jeevan dede 
daya ki yachana karu
Teri aaradhan karun

Patit jeevan mein jyoti jalade
tujh hi se lagi hai asha meri
Patit jeevan mein jyoti jalade
tujh hi se lagi hai asha meri
paap mai tam ko duur hatade - 2
Poorn ho abhilasha meri
jeevan ke kathin dukhi kshano ka
Dridta se saamna karun
paap kshama kar jeevan dede 
daya ki yachana karu

Teri aaradhana karun -2
 paap Kshama kar jeevan dede 
daya ki yachana karu
Teri aaradhana karun -2
 paap Kshama kar jeevan dede 
daya ki yachana karun
Teri aaradhana karun



0 comments:

Post a Comment