Monday 27 January 2014

Tagged Under:

Sari Shristi Ke Malik - Hindi Christian Song Lyrics

Share

Sari shristi ke malik

Sari Srishti ke malik tumhi ho
sari Shristi ke rakshak Tum hi ho
 Karte hain Tujh ko sadar pranaam
Gate hain Tere hi gungaan

Sari Srishti ke malik tumhi ho
sari Shristi ke rakshak Tum hi ho
 Karte hain Tujh ko sadar pranaam
Gate hain Tere hi gungaan

Aa ha ha Halleluia -7 Amen

Sari Shrishti ko Tera sahara
sare sankat se hum ko bachana
Tere haanthon mein jeevan hamara hai
Apni raaha pe humko chalana
Sari Shrishti ko Tera sahara
sare sankat se hum ko bachana
Tere haanthon mein jeevan hamara hai
Apni raaha pe humko chalana

Aa ha ha Halleluia -7 Amen

Hum hain teri haathon ki rachana
hum par rahe Teri karuna
 tan-man- dhan hamara Tera hai
inhen shaitan ko chune na dena
Hum hain teri haathon ki rachana
hum par rahe Teri karuna
 tan-man- dhan hamara Tera hai
enhen shaitan ko chune na dena

Aa ha ha Halleluia -7 Amen

Ab dur nahi hai kinara
Dhiraj ko hamare badana 
jeevan ki hamari is naiyya ko
 bhav sagar mein khone na dena
Ab dur nahi hai kinara
Dhiraj ko hamare badana 
jeevan ki hamari is naiyya ko
 bhav sagar mein khone na dena

Aa ha ha Halleluia -7 Amen


0 comments:

Post a Comment